****************
2- NIRASHA sambhaw ko asambhaw bana deti hai.
****************
3- Pariwartan se daroge to tarraki kaise karoge.
****************
4- Forgiveness is a gift you give yourself.
****************
5- Jo bachpan or jawani me BHAJAN (paropkar,sewa,sumiran etc.)nahi kar sakte we budhape me bhi BHAJAN nahi kar sakte hai.
****************
6- Apne mastishk patal per spashtah ankit kar deejiye -
" Nakaratmak Vicharo Ka Prwesh Band Hai."
****************
7- Manushya jitna chota hota hai uska ahankar utna hi bada hota hai.
****************
8- sabse adhik ghyani wahi hai jo apni galtiyo ko samajh kar unka sudhar kar sakta ho.
****************
9- dusron ke gun or apne awgun dhundho.
****************
10- Dukh me vivek jagta hai, Sukh me ghyan sota hai.
****************
11- Ghar se bahut dur hai mandir ka rasta, aao kisi rote huai ko hansaye.
****************
12- Aatma ka nirmal ruup sabhi riddhi-siddhiyon se paripurna hota hai.
****************
13- Sote rahna KALIYUG,unghte rahna DWAPER,uth baithna TRETA or kam me lag jana SATYUG hai. isliye kam karo, kam karo.
****************
14- MALIK 12 ghante kam karta hai. NOKAR 8 ghante kam karta hai. chor 4 ghante kam karta hai. hum sab apna aap se puchen ki hum teeno me se kya hai?
****************
15- SANKALP wah hai jiske aage koi VIKALP nahi.
****************
16- SUKH OR AANAND ME ANTAR-
sukh aakar chala jata hai, aanand aakar ja nahi sakta hai.
****************
17- Insan ko sadinsan kewal vicharo ke madhyam se hi banaya ja sakta hai.
****************
18- Mandir todo Masjid todo, isme kya muzayka hai.
DIL MAT TODO YAR KISI KA, YE GHAR KHAS KHUDA KA HAI.
****************
19- Satya ke surya ko kabhi Astya ke badal nahi dhak sakte hai.
****************
20- Swyam ko us kachuai ki tarah banaiye jo bhale hi dheeme chale, per lagatar LAKSHYA ki or badhta hi rahe.
****************
21- Vipatti manushya ko shiksha dene aati hai.
****************
22- Kisi ko swawlambi bana dena hi uski wastwik sahayata hai.
****************
23- Satya saral or astya kathin hota hai.
****************
24- Mrtyu ek mahotsaw hai.is tathya ko wahi samajh pata hai jisne apne sampurna jeewan me TYAG,SEWA,SACCHAI,AADARSH or SADCHINTAN ko apnaya-aatmsat kiya
****************
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें