मंगलवार, 7 दिसंबर 2010

Sewa karke bhul jao



1- SARWOTTAM MANWIYA MULYA Abhay,Tap,Ahinsa,Saralta,Tyag,Shanti,Daya,Kshma or Tej hai. 
=========*****=========
2- Mahan karya mahan tyag se hi sampann hote hai. swami vivekanand ji 
=========*****=========
3- jab tum nahi hoge ,tab tum pahali bar hoge. - aachary rajanish 
=========*****=========
4- Sewa karke bhul jao,karake yad rakho.Dukh pakar bhul jao,dekar yad rakho.Bhala karke bhul jao,karake yad rakho. 
=========*****=========
5- chhota aarambh karo , shighr aarambh karo . 
=========*****=========
6- satkarm kee prerana dene se badhakar aur koi puny ho hi nahin sakata. 
=========*****=========
7- vishram aur upavas sarvottam aushadhi hai. 
=========*****=========
8- nirasha moorkhata ka parinam hai. – dizarayali 
=========*****=========
9- Yuwa awastha me sad guno ko uplabdh karo, tabhi budhape me satkar milega. 
=========*****=========
10- Jo manushya jitni apne swarth ki aahuti karta hai, uski shakti utni hi badhti hai. 
=========*****=========
11- Jo aasani se wayda nahi karta, wah use puri imandari se nibhata hai. 
=========*****=========
12- Koi bat aise seekho jaise ki aapko amar rahna hai,or is tarah jiyo ki jaise aap kal marne wale hai. 
=========*****=========
13- SAMAY barbad mat karo, kyonki jeewan usse hi bana hai. 
=========*****=========
14- OM ka uccharan shakti wardhak hai. jab kabhi aao udas hone lago to OM ka uccharan karo. 
=========*****=========
15- Agar aapne hawa me mahal banaya hai to koi kharab kam nahi kiya hai. per ab uske neeche neew (Foundation) banaye. 
=========*****=========
16- Apne siddhant per jeene ki shart ke liye TYAG aawashyak hai. 
=========*****=========
17- Shri Krishan ko pranam karke yadi yatra prarambh ki jaye to VIJAY prapt hoti hai. 
=========*****=========
18- Sabse adhik kharab din wo hai jab hum ek bar bhi hansi ke thahake nai lagate hai. 
=========*****=========
19- purw ki or sir karke sone se vidhya,Dakshin ki or karne se dhan or aayu badhti hai,Pashchim ki karne se chinta,Uttar ki or kaenr se hani hoti hai. 
=========*****=========
20- Apni drashti (vision) se dosh dekhne se muft (Free) me hi pap ho jata hai, 
=========*****=========
21- Jab andhkar bahut gahara hoga, tabhi aap sitare (star) dekh payenge.
=========*****=========
22- Uttam manushya ki yah khasiyat (speciality) hoti hai ki we kisi karya ko adhura nahi chodte.
=========*****=========
23- Dherya rakhna or awsar (chance) nahi khona ke beech (between) santulan bahut jaruri hai. 
=========*****=========
24- Pani jitna gahara hota hai, utna hi shant rahta hai.
=========*****=========

" Nakaratmak Vicharo Ka Prwesh Band Hai."

1- apni galti man lena mahan charitra ka lakshan hai. 
****************
2- NIRASHA sambhaw ko asambhaw bana deti hai. 
****************
3- Pariwartan se daroge to tarraki kaise karoge. 
****************
4- Forgiveness is a gift you give yourself. 
****************
5- Jo bachpan or jawani me BHAJAN (paropkar,sewa,sumiran etc.)nahi kar sakte we budhape me bhi BHAJAN nahi kar sakte hai.
****************
6- Apne mastishk patal per spashtah ankit kar deejiye -
" Nakaratmak Vicharo Ka Prwesh Band Hai." 
****************
7- Manushya jitna chota hota hai uska ahankar utna hi bada hota hai. 
****************
8- sabse adhik ghyani wahi hai jo apni galtiyo ko samajh kar unka sudhar kar sakta ho. 
****************
9- dusron ke gun or apne awgun dhundho. 
****************
10- Dukh me vivek jagta hai, Sukh me ghyan sota hai. 
****************
11- Ghar se bahut dur hai mandir ka rasta, aao kisi rote huai ko hansaye. 
****************
12- Aatma ka nirmal ruup sabhi riddhi-siddhiyon se paripurna hota hai.
****************
13- Sote rahna KALIYUG,unghte rahna DWAPER,uth baithna TRETA or kam me lag jana SATYUG hai. isliye kam karo, kam karo. 
****************
14- MALIK 12 ghante kam karta hai. NOKAR 8 ghante kam karta hai. chor 4 ghante kam karta hai. hum sab apna aap se puchen ki hum teeno me se kya hai? 
****************
15- SANKALP wah hai jiske aage koi VIKALP nahi. 
****************
16- SUKH OR AANAND ME ANTAR-
sukh aakar chala jata hai, aanand aakar ja nahi sakta hai. 
****************
17- Insan ko sadinsan kewal vicharo ke madhyam se hi banaya ja sakta hai. 
****************
18- Mandir todo Masjid todo, isme kya muzayka hai.
DIL MAT TODO YAR KISI KA, YE GHAR KHAS KHUDA KA HAI. 
****************
19- Satya ke surya ko kabhi Astya ke badal nahi dhak sakte hai. 
****************
20- Swyam ko us kachuai ki tarah banaiye jo bhale hi dheeme chale, per lagatar LAKSHYA ki or badhta hi rahe. 
****************
21- Vipatti manushya ko shiksha dene aati hai.
****************
22- Kisi ko swawlambi bana dena hi uski wastwik sahayata hai. 
****************
23- Satya saral or astya kathin hota hai. 
****************
24- Mrtyu ek mahotsaw hai.is tathya ko wahi samajh pata hai jisne apne sampurna jeewan me TYAG,SEWA,SACCHAI,AADARSH or SADCHINTAN ko apnaya-aatmsat kiya
****************

yadi buddhiman ho, to hanso....

1- Good judgement comes from experience and experience comes from bad judgement. 
----------*****----------
2- purush se nari adhik buddhimati hoti hai, kyonki vah janati kam hai par samajhati adhik hai. 
----------*****----------
3- yadi buddhiman ho, to hanso..... 
----------*****----------
4- aatmahatya , ek asthayi samasya ka sthayi samadhan hai . 
----------*****----------
5- dimag pairashoot ke saman hai, vah tabhi kam karata hai jab khula ho. 
----------*****----------
6- sari chijo k bare me kuchh-kuchh aur kuchhek ke bare me sab kuchh sikhane keekoshish karani chahiye . 
----------*****----------
7- sab rogon kee ek davaee, hansana sikho mere bhaee . 
----------*****----------
8- ek shikshit moorkh ek agyani se kahin adhik moorkh hota hai. 
----------*****----------
9- har rog kudarat ke kisi agyat kanoon bhang ka hi parinam hai. 
----------*****----------
10- poorv aur dakshinn kee or sir rakhakar sone se aayu badhati hai. 
----------*****----------
11- subah sham kee hava, lakh rupaye kee dava. 
----------*****----------
12- sone se pahale aur jagane ke bad shant rahana chahiye. 
----------*****----------
13- bhojan karake karie mootra, gurda svasth rahe ye sootra. 
----------*****----------
14- vikalpon kee anupasthiti mastishk ko badi rahat deti hai 
----------*****----------
15- gahari nadi ka jal pravah shant v ganbhir hota hai 
----------*****----------
16- sanyam aur shram manav ke do sarvottam chikitsak hain . shram se bhukh tej hoti hai aur sanyam atibhog ko rokata hai .
----------*****----------    
17- darpann me apana chehara dekhon, chehare men apana charitr dekho. 
----------*****----------
18- dahine svar bhojan karen, boye pive nir. aisa sanyam jab kare, sukhi rahen sharir.
----------*****----------
19 - jo bachchon ko sikhate hain, un par bade khud amal kare to yah sansar svarg ban jaye. 
----------*****----------
20- sansar ke liye upyogi hona KARMYOG,apne liye upyogi hona GHYANYOG or bhagwan ke liye upyogi hona BHAKTIYOG hai. 
----------*****----------
21- desh ke bhavishy kee sanbhavana dekhani hain, to aaj ke bachchon ka star dekho. 
----------*****----------
22- eeshvar kabhi-kabhi apane bachchon kee aokhon ko aosuon se dhota hain, taki ve usakee kudarat aur usake aadesho ko sahi padh sake. 
----------*****----------
23- jis insan ke andar pap basa huaa hai, vahin doosaron ke dosh dekhata hain. 
----------*****----------
24- bhagwan ki dukan pratah 4 baje se 6 baje tak hi khulti hai.
----------*****----------

LinkWithin

Blog Widget by LinkWithin