शनिवार, 11 दिसंबर 2010

Sadguni ka sukhi hona nischit hai.

1- Galti karne ke bhay se ghire rahana hi jeewan ki sabse badi galti hai. 
Radhe = Raah de.
2- Imandari se chalaki bhi mat kha jati hai. 
Radhe = Raah de.
3- Safal nawik wahi hai jo ashant samudra me bhi manzil tak pahunche.
Radhe = Raah de.
4- Jo apni jarurat ke samay madad (help) mangne me nahi hichke, wastaw me wahi sabse majbut hai. 
Radhe = Raah de.
5- Karya (work) ke anurup prayatan karne wala dheer vyakti khub lakshmi prapt karta hai. 
Radhe = Raah de.
6- Gay (cow) ke gobar me lakshmi or mutra me ganga ka niwas mana jata hai. 
Radhe = Raah de.
7- Kismat ke bharose jeene walo ko milta jarur hai per wah milta hai jo SANGHARSH karne wale chhod jate hai. 
Radhe = Raah de.
8- Dhan unhi ke pas rukta (stay) hai, jo sadguni hai. 
Radhe = Raah de.
9- Dhan ka uparjan(earning)hi nahi,sadupyog bhi samjhe. 
Radhe = Raah de.
10- Dhan ki 3 gati hoti hai - 1- Dan 2- Bhog or 3- Nash. 
Radhe = Raah de.
11- Harday ki aghyan granthi ka nasht hona hi moksh (nirwan) kaha jata hai. 
Radhe = Raah de.
12- Ghar me swarg sa watawaran banana chahte ho to 2 factory lagao . Mastak per ICE FECTORY or jeebh per SUGAR FACTORY. 
Radhe = Raah de.
13- Atit (past) se seekho, Wartman (present) ka sadupayog karo, Bhavishya (future) ke prati ashawan raho. 
Radhe = Raah de.
14- Prarambh(starting)sunder ant(end)bhayankar yah hai -BHOG or Prarambh kashtdayak, ant aananddayak yah hai -TYAG. 
Radhe = Raah de.
15- Ek samajhdar aadmi tab bolta hai, jab dusre apne shabdo ka istemal kar chuke hote hai. 
Radhe = Raah de.
16- Kabhi mat sochiye - Log kya kahenge ?
Hamesha sochiye - Aap kya karenge. 
Radhe = Raah de.
17- Sadguni ka sukhi hona nischit hai. 
Radhe = Raah de.
18- Khud sukh lenge to nashwan sukh milega or dusron ko sukh denge to avinashi sukh milega. 
Radhe = Raah de.
19- Khush dil insan jab tak jinda rahata hai, maze se rahta hai. 
Radhe = Raah de.
20- Bure samay me 3 sacche sathi hote hai. 1- Dherya. (Patience) 2- Sahas. (Courage) 3- Prayatan. (Effort) 
Radhe = Raah de.
21- Sacche mitra ke samne dukh aadha or khushi doguni ho jati hai. 
Radhe = Raah de.
22- The single hand of your friend which hold your shoulder at your failure is much better than 2 hand of whole crowd which clap for your victory. 
Radhe = Raah de.
23- Dukh me vivek jagta hai, Sukh me ghyan sota hai. 
Radhe = Raah de.
24- SAD VICHAR satya ko lakshya karke choda huwa teer hai. Ise dil per lagne de. 
Radhe = Raah de.

कोई टिप्पणी नहीं:

LinkWithin

Blog Widget by LinkWithin